KHud ko na main giraun KHud apni nigah se
ḳhud ko na maiñ girā.ūñ ḳhud apnī nigāh se
yārab bachā.e rakhnā mujhe is gunāh se
harf-e-talab zabān pe laayā ġhazab kiyā
ik dost aaj aur gayā rasm-o-rāh se
tashbīh-e-mehr-o-māh kā ye ehtimām hai
patthar uThā ke laa.e haiñ ham un kī raah se
chhoḌā jo us ne ziist bhī ye kah ke uTh ga.ī
maiñ ne bhī aaj haath uThāyā nibāh se
samjhe na koī baat to ye aur baat hai
kuchh to nigāh kahtī thī paiham nigāh se
shāyad nahīñ ye baat mire qātiloñ ko yaad
qismat nikāl laatī hai yūsuf ko chaah se
KHud ko na main giraun KHud apni nigah se
yarab bachae rakhna mujhe is gunah se
harf-e-talab zaban pe laya ghazab kiya
ek dost aaj aur gaya rasm-o-rah se
tashbih-e-mehr-o-mah ka ye ehtimam hai
patthar uTha ke lae hain hum un ki rah se
chhoDa jo us ne zist bhi ye kah ke uTh gai
main ne bhi aaj hath uThaya nibah se
samjhe na koi baat to ye aur baat hai
kuchh to nigah kahti thi paiham nigah se
shayad nahin ye baat mere qatilon ko yaad
qismat nikal lati hai yusuf ko chah se
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 102)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.