KHud ko nashtar aap chubhona paDta hai
ḳhud ko nashtar aap chubhonā paḌtā hai
dil kī ḳhātir aañkh ko ronā paḌtā hai
Dartā huuñ ki kahīñ ḳhayānat hī na ho
kabhī kabhī jab apnā honā paḌtā hai
maut se kam par taalī nahīñ bajāte log
manzar meñ kuchh dard samonā paḌtā hai
jāntā huuñ ki banjar hai ye ḳhvāb mirā
phir bhī is ke saath hī sonā paḌtā hai
har pyāse kī pyaas bujhānī paḌtī hai
dariyā ko to dariyā honā paḌtā hai
dekh rahā huuñ khaultā tel hai bartan meñ
phir bhī is meñ haath Dubonā paḌtā hai
KHud ko nashtar aap chubhona paDta hai
dil ki KHatir aankh ko rona paDta hai
Darta hun ki kahin KHayanat hi na ho
kabhi kabhi jab apna hona paDta hai
maut se kam par tali nahin bajate log
manzar mein kuchh dard samona paDta hai
jaanta hun ki banjar hai ye KHwab mera
phir bhi is ke sath hi sona paDta hai
har pyase ki pyas bujhani paDti hai
dariya ko to dariya hona paDta hai
dekh raha hun khaulta tel hai bartan mein
phir bhi is mein hath Dubona paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.