KHud ko nazar ke samne la kar ghazal kaho
ḳhud ko nazar ke sāmne lā kar ġhazal kaho
is dil meñ koī dard biThā kar ġhazal kaho
ab tak to mai-kadoñ pe hī tum ne ġhazal kahī
hoñToñ se ab ye jaam haTā kar ġhazal kaho
mahfil meñ aaj sham.a jalāne ke din ga.e
tārīkiyoñ meñ dil ko jalā kar ġhazal kaho
ġhazaleñ bhī aadmī kī ibādat haiñ dosto
is ishq kī nadī meñ nahā kar ġhazal kaho
rah to liye ho itne dinoñ chāñdnī ke saath
ab zindagī kī dhuup meñ aa kar ġhazal kaho
koī tumhāre dil meñ na utre to ai 'kuñvar'
tum hī kisī ke dil meñ samā kar ġhazal kaho
KHud ko nazar ke samne la kar ghazal kaho
is dil mein koi dard biTha kar ghazal kaho
ab tak to mai-kadon pe hi tum ne ghazal kahi
honTon se ab ye jam haTa kar ghazal kaho
mahfil mein aaj shama jalane ke din gae
tarikiyon mein dil ko jala kar ghazal kaho
ghazalen bhi aadmi ki ibaadat hain dosto
is ishq ki nadi mein naha kar ghazal kaho
rah to liye ho itne dinon chandni ke sath
ab zindagi ki dhup mein aa kar ghazal kaho
koi tumhaare dil mein na utre to ai 'kunwar'
tum hi kisi ke dil mein sama kar ghazal kaho
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 98)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.