KHud ko rok us gali mein jaane se
ḳhud ko rok us galī meñ jaane se
baaz aa aabrū gañvāne se
aam hone lagī havas-kārī
pyaar uThne lagā zamāne se
āsmāñ kā nahīñ bigaḌnā kuchh
chand tāroñ ke TuuT jaane se
āshnā us galī meñ koī nahīñ
ham vahāñ jaa.eñ kis bahāne se
baat bantī nazar nahīñ aatī
zulf uljhī huī hai shāne se
jab bigaḌtā hai vaqt kā tevar
baat bantī nahīñ banāne se
koī hotā nahīñ kisī kā 'shakīl'
fā.eda kyā fareb khāne se
KHud ko rok us gali mein jaane se
baz aa aabru ganwane se
aam hone lagi hawas-kari
pyar uThne laga zamane se
aasman ka nahin bigaDna kuchh
chand taron ke TuT jaane se
aashna us gali mein koi nahin
hum wahan jaen kis bahane se
baat banti nazar nahin aati
zulf uljhi hui hai shane se
jab bigaDta hai waqt ka tewar
baat banti nahin banane se
koi hota nahin kisi ka 'shakil'
faeda kya fareb khane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.