KHud ko samajh raha tha buland aasman se
ḳhud ko samajh rahā thā buland āsmān se
vo pāsh-pāsh ho gayā gir kar chaTān se
phir shahr meñ mire liye har kaam sahl thā
dīvār anā kī haT ga.ī jab darmiyān se
zahr-e-hayāt kā kabhī chakkhā thā zā.iqa
talḳhī ga.ī na aaj talak bhī zabān se
mohtāt ho ke bāñdh nishāna mirī taraf
ye tiir bhī ḳhatā na ho chal kar kamān se
hai kuchh na kuchh zarūr 'qamar' us se rābta
us kā bayān miltā hai tere bayān se
KHud ko samajh raha tha buland aasman se
wo pash-pash ho gaya gir kar chaTan se
phir shahr mein mere liye har kaam sahl tha
diwar ana ki haT gai jab darmiyan se
zahr-e-hayat ka kabhi chakkha tha zaiqa
talKHi gai na aaj talak bhi zaban se
mohtat ho ke bandh nishana meri taraf
ye tir bhi KHata na ho chal kar kaman se
hai kuchh na kuchh zarur 'qamar' us se rabta
us ka bayan milta hai tere bayan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.