KHud ko sanwar lene ki hajat use bhi thi
ḳhud ko sañvār lene kī hājat use bhī thī
shāyad ki rang-o-bū kī zarūrat use bhī thī
majbūriyoñ ne kar diyā pāband kuchh use
rasm-e-vafā nibhāne kī chāhat use bhī thī
yuuñ pher lī nigāh ki pahchāntā na ho
kitnī shadīd mujh se rifāqat use bhī thī
kis ke ḳhayāl-o-ḳhvāb kī dahlīz par sadā
har shab guzārne kī ijāzat use bhī thī
kirdār kī bulandī kā vo bhī hai mo'tarif
maanā ki terī zaat se vahshat use bhī thī
garche anā-parast vo 'ajmal' balā kā hai
bebākiyoñ pe merī to hairat use bhī thī
KHud ko sanwar lene ki hajat use bhi thi
shayad ki rang-o-bu ki zarurat use bhi thi
majburiyon ne kar diya paband kuchh use
rasm-e-wafa nibhane ki chahat use bhi thi
yun pher li nigah ki pahchanta na ho
kitni shadid mujh se rifaqat use bhi thi
kis ke KHayal-o-KHwab ki dahliz par sada
har shab guzarne ki ijazat use bhi thi
kirdar ki bulandi ka wo bhi hai mo'tarif
mana ki teri zat se wahshat use bhi thi
garche ana-parast wo 'ajmal' bala ka hai
bebakiyon pe meri to hairat use bhi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.