KHud ko sharminda-e-dua na kare
ḳhud ko sharminda-e-duā na kare
hai bashar vo jo iltijā na kare
kaash vo dil meñ ho mire paivast
un kā tīr-e-nazar ḳhatā na kare
ho ke majbūr hai bashar meñ ye shar
gar mile iḳhtiyār kyā na kare
lutf aa jaa.e dil jo koī kaam
aap kī yaad ke sivā na kare
dil meñ jab tak na ho koī tahrīk
sher shā.ir kabhī kahā na kare
yād-e-haq kyā karoge piirī meñ
kyā ḳhabar umr hī vafā na kare
jo mohabbat meñ jaan de na sake
vo mohabbat kā hausla na kare
hai ḳhudā ḳhush usī se ai 'āqil'
jo kisī kā kabhī burā na kare
KHud ko sharminda-e-dua na kare
hai bashar wo jo iltija na kare
kash wo dil mein ho mere paiwast
un ka tir-e-nazar KHata na kare
ho ke majbur hai bashar mein ye shar
gar mile iKHtiyar kya na kare
lutf aa jae dil jo koi kaam
aap ki yaad ke siwa na kare
dil mein jab tak na ho koi tahrik
sher shair kabhi kaha na kare
yaad-e-haq kya karoge piri mein
kya KHabar umr hi wafa na kare
jo mohabbat mein jaan de na sake
wo mohabbat ka hausla na kare
hai KHuda KHush usi se ai 'aqil'
jo kisi ka kabhi bura na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.