KHud ko socha hai ki kuchh tanha karun
ḳhud ko sochā hai ki kuchh tanhā karūñ
dil se ab mehmān ko chaltā karūñ
vaqt tak miltā nahīñ apne liye
is qadar masrūf huuñ maiñ kyā karūñ
koī kar tadbīr mil baiTheñ kahīñ
tujh se mil kar dil kā ġham halkā karūñ
ab sahī jātīñ nahīñ ye ranjisheñ
ḳhud ko kosūñ yā unheñ kosā karūñ
kar diyā rusvā mujhe tū ne magar
maiñ tujhe duniyā meñ kyuuñ rusvā karūñ
ho mayassar jāvedānī kā safar
ḳhud ko apnī zaat se minhā karūñ
jang rishtoñ aur anā meñ chhiḌ ga.ī
hārne kā hausla paidā karūñ
us ne pūchhā yaad kartī ho mujhe
kyā tumheñ milne kabhī aayā karūñ
kah diyā maiñ ne guzar jaatā hai din
raat kī tanhā.iyoñ kā kyā karūñ
dard ne dil meñ na chhoḌī kuchh jagah
tum rahoge ab kahāñ sochā karūñ
ghar kī chaukhaT par maiñ ab bhī baiTh kar
roz us kā rāstā dekhā karūñ
dost mere kho ga.e jaane kahāñ
bojh dil kā kis tarah halkā karūñ
jāvedāñ ho jā.ūñ shohrat bhī mile
gar usūloñ kā jo maiñ saudā karūñ
gar mujhe fursat mile 'shamsa-najam'
to use har vaqt maiñ sochā karūñ
KHud ko socha hai ki kuchh tanha karun
dil se ab mehman ko chalta karun
waqt tak milta nahin apne liye
is qadar masruf hun main kya karun
koi kar tadbir mil baiThen kahin
tujh se mil kar dil ka gham halka karun
ab sahi jatin nahin ye ranjishen
KHud ko kosun ya unhen kosa karun
kar diya ruswa mujhe tu ne magar
main tujhe duniya mein kyun ruswa karun
ho mayassar jawedani ka safar
KHud ko apni zat se minha karun
jang rishton aur ana mein chhiD gai
haarne ka hausla paida karun
us ne puchha yaad karti ho mujhe
kya tumhein milne kabhi aaya karun
kah diya main ne guzar jata hai din
raat ki tanhaiyon ka kya karun
dard ne dil mein na chhoDi kuchh jagah
tum rahoge ab kahan socha karun
ghar ki chaukhaT par main ab bhi baiTh kar
roz us ka rasta dekha karun
dost mere kho gae jaane kahan
bojh dil ka kis tarah halka karun
jawedan ho jaun shohrat bhi mile
gar usulon ka jo main sauda karun
gar mujhe fursat mile 'shamsa-najam'
to use har waqt main socha karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.