KHud ko tamasha KHub banata raha hun main
ḳhud ko tamāshā ḳhuub banātā rahā huuñ maiñ
qīmat bhī sādgī kī chukātā rahā huuñ maiñ
yuuñ bhiiḌ meñ to luTnā baḌī aam baat hai
sahrā meñ ḳhud ko tanhā luTātā rahā huuñ maiñ
manzil kī justujū bhī ajab shai hai dosto
Thokar se zaḳham apne lagātā rahā huuñ maiñ
kar ke kisī ko ḳhvār bahut hañstā hai bashar
sah ke sitam bhī ḳhud ko hañsātā rahā huuñ maiñ
kartā thā jab 'sabā' ko zamāna bhī nā-murād
himmat se azm aur baḌhātā rahā huuñ maiñ
KHud ko tamasha KHub banata raha hun main
qimat bhi sadgi ki chukata raha hun main
yun bhiD mein to luTna baDi aam baat hai
sahra mein KHud ko tanha luTata raha hun main
manzil ki justuju bhi ajab shai hai dosto
Thokar se zaKHam apne lagata raha hun main
kar ke kisi ko KHwar bahut hansta hai bashar
sah ke sitam bhi KHud ko hansata raha hun main
karta tha jab 'saba' ko zamana bhi na-murad
himmat se azm aur baDhata raha hun main
- Book : Ehsaas (Pg. 125)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Bubbles Hora Saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.