KHud ko tu mohkam bana le dur kar le KHamiyan
KHud ko tu mohkam bana le dur kar le KHamiyan
Sujit Sahgal Haasil
MORE BYSujit Sahgal Haasil
ḳhud ko tū mohkam banā le duur kar le ḳhāmiyāñ
har qadam rahtā nahīñ hai saath koī pāsbāñ
kab na jaane kam huiiñ bāham jo thiiñ nazdīkiyāñ
rah ga.ī thī kyā kamī kyoñ aa ga.ī haiñ dūriyāñ
sāmne ik dūsre ke rakh diiñ sab kamzoriyāñ
rah ga.ī ab kaun-sī duurī hamāre darmiyāñ
faisle mushkil hī ham ko manziloñ tak le ga.e
ham ko pachhtānā paḌā hai jab chunī āsāniyāñ
kī nahīñ ḳhud kī bhī parvā vaar dī hai zindagī
'umr bhar aise nibhā.ī ham ne zimmedāriyāñ
saarī lahroñ ko na laao aaj tum sāhil talak
kuchh to ho dil meñ taḌap koī to ho mauj-e-nihāñ
kitne rishtoñ ko gañvā kar ham ne sīkhā ye sabaq
itnī mat rakkho tavaqqo' itnā mat rakkho gumān
har zarūrat ko dabā kar sabr ko mat aazmā
ḳhatm kar detā hai sab kuchh phuuT kar ātish-fishāñ
kar ke hāsil daulat-o-shohrat bhī ḳhalvat sī rahī
har qadam paḌtī rahīñ paiham mirī tanhā.iyāñ
KHud ko tu mohkam bana le dur kar le KHamiyan
har qadam rahta nahin hai sath koi pasban
kab na jaane kam huin baham jo thin nazdikiyan
rah gai thi kya kami kyon aa gai hain duriyan
samne ek dusre ke rakh din sab kamzoriyan
rah gai ab kaun-si duri hamare darmiyan
faisle mushkil hi hum ko manzilon tak le gae
hum ko pachhtana paDa hai jab chuni aasaniyan
ki nahin KHud ki bhi parwa war di hai zindagi
'umr bhar aise nibhai hum ne zimmedariyan
sari lahron ko na lao aaj tum sahil talak
kuchh to ho dil mein taDap koi to ho mauj-e-nihan
kitne rishton ko ganwa kar hum ne sikha ye sabaq
itni mat rakkho tawaqqo' itna mat rakkho guman
har zarurat ko daba kar sabr ko mat aazma
KHatm kar deta hai sab kuchh phuT kar aatish-fishan
kar ke hasil daulat-o-shohrat bhi KHalwat si rahi
har qadam paDti rahin paiham meri tanhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.