KHud-kushi lagti hai aasan yahi hota hai
ḳhud-kushī lagtī hai āsān yahī hotā hai
ishq meñ āḳhirī nuqsān yahī hotā hai
vaqt ke duniyā ke apnoñ ke badal jaane par
itnā mat ho abhī hairān yahī hotā hai
zindagī roz na.e moḌ pe le aatī hai
is qadar mat ho pareshān yahī hotā hai
apnī miTTī se mohabbat ko kareñ sābit ham
un kī taqrīr kā unvān yahī hotā hai
jāgtī āñkhoñ se dekhe ga.e ḳhvāboñ ke liye
ḳhvāhisheñ hotī haiñ qurbān yahī hotā hai
hijr ko bhuul ke sab kaam meñ lag jaate haiñ
yahī hotā hai mirī maan yahī hotā hai
kuchh na.e tajrabe ummīd na.e Dar dil meñ
har safar ke liye sāmān yahī hotā hai
KHud-kushi lagti hai aasan yahi hota hai
ishq mein aaKHiri nuqsan yahi hota hai
waqt ke duniya ke apnon ke badal jaane par
itna mat ho abhi hairan yahi hota hai
zindagi roz nae moD pe le aati hai
is qadar mat ho pareshan yahi hota hai
apni miTTi se mohabbat ko karen sabit hum
un ki taqrir ka unwan yahi hota hai
jagti aankhon se dekhe gae KHwabon ke liye
KHwahishen hoti hain qurban yahi hota hai
hijr ko bhul ke sab kaam mein lag jate hain
yahi hota hai meri man yahi hota hai
kuchh nae tajrabe ummid nae Dar dil mein
har safar ke liye saman yahi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.