KHud mein jhanka to ajab manzar nazar aaya mujhe
ḳhud meñ jhāñkā to 'ajab manzar nazar aayā mujhe
apne andar bhī ajā.ib ghar nazar aayā mujhe
mujh se us kā ham-safar banñā bhī kab dekhā gayā
vo bhī apnī raah kā patthar nazar aayā mujhe
hādsoñ ne us ke paañv se bhī dhartī khīñch lī
vo bhī sail-e-vaqt kī zad par nazar aayā mujhe
mehrbāñ koī sharīk-e-qaid-e-tanhā.ī na thā
apne zaanū par hī apnā sar nazar aayā mujhe
dil se thī ummīd ḳhvāhish ke safar par saath de
par ye shāhīñ bhī shikasta-par nazar aayā mujhe
ek ik lamhe ne sau sau sho'bade dikhlā.e haiñ
sach to ye hai vaqt jādūgar nazar aayā mujhe
itnī himmat bhī na thī baḌh kar bulā letā 'riyāz'
yuuñ to vo bāzār meñ aksar nazar aayā mujhe
KHud mein jhanka to 'ajab manzar nazar aaya mujhe
apne andar bhi ajaib ghar nazar aaya mujhe
mujh se us ka ham-safar banna bhi kab dekha gaya
wo bhi apni rah ka patthar nazar aaya mujhe
hadson ne us ke panw se bhi dharti khinch li
wo bhi sail-e-waqt ki zad par nazar aaya mujhe
mehrban koi sharik-e-qaid-e-tanhai na tha
apne zanu par hi apna sar nazar aaya mujhe
dil se thi ummid KHwahish ke safar par sath de
par ye shahin bhi shikasta-par nazar aaya mujhe
ek ek lamhe ne sau sau sho'bade dikhlae hain
sach to ye hai waqt jadugar nazar aaya mujhe
itni himmat bhi na thi baDh kar bula leta 'riyaz'
yun to wo bazar mein aksar nazar aaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.