KHud mein utren to palaT kar wapas aa sakte nahin
ḳhud meñ utreñ to palaT kar vāpas aa sakte nahīñ
varna kyā ham apnī gahrā.ī ko pā sakte nahīñ
ḳhushbueñ kapḌoñ meñ nādīda chaman-zāroñ kī haiñ
ham kahāñ se ho ke aa.e haiñ batā sakte nahīñ
ham ne in galiyoñ meñ chalne kī ri.āyat lī hai bas
dekh sakte haiñ hameñ ye ghar basā sakte nahīñ
ye bharam manzar kā bhī hai aur pas-manzar kā bhī
āḳhirī naqsh-e-tamāshā hai miTā sakte nahīñ
naqsha-e-nā-būd uThā.e phir rahe haiñ shahr shahr
phir rahe haiñ aur bas aage batā sakte nahīñ
ham koī parda mukammal kar rahe haiñ der se
aañkh chāheñ bhī to tujh par se haTā sakte nahīñ
zindagī ham terī jānib aa rahe haiñ ek saath
ek saath aane kā matlab hai ki aa sakte nahīñ
saarī girheñ khol kar bekār ho baiThe to haiñ
ab lagāte haiñ dobāra aur lagā sakte nahīñ
intizārī haiñ so bām-o-dar pe bhārī bhī to haiñ
raḳhne bhar sakte nahīñ parde girā sakte nahīñ
alvidā'ī ik charāġhāñ aur phir ruḳhsat hameñ
ab mazīd is raushnī par daad pā sakte nahīñ
rahte rahte rah na jaa.eñ log is tasvīr ke
ham-qadam us ke haiñ jis ke saath jā sakte nahīñ
haath se nikle hue nā-vasf nā-vaqtoñ ke ham
haath aanā chāhte haiñ aur aa sakte nahīñ
terī jānib se uThā sakte haiñ gar paañv to kyā
terī jānib se ham apnī ḳhaak uḌā sakte nahīñ
KHud mein utren to palaT kar wapas aa sakte nahin
warna kya hum apni gahrai ko pa sakte nahin
KHushbuen kapDon mein nadida chaman-zaron ki hain
hum kahan se ho ke aae hain bata sakte nahin
hum ne in galiyon mein chalne ki riayat li hai bas
dekh sakte hain hamein ye ghar basa sakte nahin
ye bharam manzar ka bhi hai aur pas-manzar ka bhi
aaKHiri naqsh-e-tamasha hai miTa sakte nahin
naqsha-e-na-bud uThae phir rahe hain shahr shahr
phir rahe hain aur bas aage bata sakte nahin
hum koi parda mukammal kar rahe hain der se
aankh chahen bhi to tujh par se haTa sakte nahin
zindagi hum teri jaanib aa rahe hain ek sath
ek sath aane ka matlab hai ki aa sakte nahin
sari girhen khol kar bekar ho baiThe to hain
ab lagate hain dobara aur laga sakte nahin
intizari hain so baam-o-dar pe bhaari bhi to hain
raKHne bhar sakte nahin parde gira sakte nahin
alwida'i ek charaghan aur phir ruKHsat hamein
ab mazid is raushni par dad pa sakte nahin
rahte rahte rah na jaen log is taswir ke
ham-qadam us ke hain jis ke sath ja sakte nahin
hath se nikle hue na-wasf na-waqton ke hum
hath aana chahte hain aur aa sakte nahin
teri jaanib se uTha sakte hain gar panw to kya
teri jaanib se hum apni KHak uDa sakte nahin
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 21)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.