KHud miT gai na pa saki tere nishan ko main
ḳhud miT ga.ī na pā sakī tere nishāñ ko maiñ
samjhī thī sahl shauq kī rāh-e-garāñ ko meñ
ye ārzū-e-josh-e-tajassus kā hai ma.aal
bhūlā hai kārvāñ mujhe aur kārvāñ ko maiñ
soz-e-junūñ kī aag se ik roz phūñk duuñ
vahm-o-gumāñ ko jazba-e-sūd-o-ziyāñ ko maiñ
tāroñ kī mast chhāñv meñ ab bhī kabhī kabhī
kartī huuñ yaad bhūlī huī dāstāñ ko maiñ
lail-o-nahār merī jabīñ sajda-rez hai
ka.aba samajh rahī huuñ tire āstāñ ko maiñ
Thukrā ke do jahāñ ke nasheb-o-farāz ko
jaane lagī huuñ vādī-e-jannat-nishāñ ko maiñ
'najma' na pūchh mujh se mirī dāstān-e-zīst
al-muḳhtasar ki yaad rahūñgī jahāñ ko maiñ
KHud miT gai na pa saki tere nishan ko main
samjhi thi sahl shauq ki rah-e-garan ko mein
ye aarzu-e-josh-e-tajassus ka hai maal
bhula hai karwan mujhe aur karwan ko main
soz-e-junun ki aag se ek roz phunk dun
wahm-o-guman ko jazba-e-sud-o-ziyan ko main
taron ki mast chhanw mein ab bhi kabhi kabhi
karti hun yaad bhuli hui dastan ko main
lail-o-nahaar meri jabin sajda-rez hai
kaba samajh rahi hun tere aastan ko main
Thukra ke do jahan ke nasheb-o-faraaz ko
jaane lagi hun wadi-e-jannat-nishan ko main
'najma' na puchh mujh se meri dastan-e-zist
al-muKHtasar ki yaad rahungi jahan ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.