KHud mujhko bhi malum nahin hai ki main kya hun
ḳhud mujh ko bhī mā'lūm nahīñ hai ki maiñ kyā huuñ
ab tak to ḳhud apnī hī nigāhoñ se chhupā huuñ
hālāt ke narġhe meñ kuchh is tarah ghirā huuñ
mahsūs ye hotā hai tujhe bhuul chukā huuñ
samjhā thā ki rūdād na.e daur kī hogī
aayā hai tirā naam to maiñ chauñk uThā huuñ
shāyad kabhī bachpan meñ kahīñ saath rahā hai
ā.īne meñ ik shakl ko pahchān rahā huuñ
zulfoñ ke mahakte hue saa.e kī talab meñ
taptī huī rāhoñ pe bahut duur gayā huuñ
mahjūb sā tanhā.ī kā ehsās khaḌā hai
bistar pe baḌī der se ḳhāmosh paḌā huuñ
ab sochne baiThā huuñ ki masraf mirā kyā hai
majbūr-e-mohabbat huuñ na pāband-e-vafā huuñ
suniye to 'muzaffar' kā har ik she'r kahegā
maiñ TuuTe hue saaz kī bechain sadā huuñ
KHud mujh ko bhi ma'lum nahin hai ki main kya hun
ab tak to KHud apni hi nigahon se chhupa hun
haalat ke narghe mein kuchh is tarah ghira hun
mahsus ye hota hai tujhe bhul chuka hun
samjha tha ki rudad nae daur ki hogi
aaya hai tera nam to main chaunk uTha hun
shayad kabhi bachpan mein kahin sath raha hai
aaine mein ek shakl ko pahchan raha hun
zulfon ke mahakte hue sae ki talab mein
tapti hui rahon pe bahut dur gaya hun
mahjub sa tanhai ka ehsas khaDa hai
bistar pe baDi der se KHamosh paDa hun
ab sochne baiTha hun ki masraf mera kya hai
majbur-e-mohabbat hun na paband-e-wafa hun
suniye to 'muzaffar' ka har ek she'r kahega
main TuTe hue saz ki bechain sada hun
- Book : kamaan (Pg. 221)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.