KHud-numai husn ka dastur hai
ḳhud-numā.ī husn kā dastūr hai
phir bhī āñkhoñ se vo kyoñ mastūr hai
hai rag-e-jāñ se bhī vo nazdīk-tar
go nigāhoñ kī pahuñch se duur hai
be-mashiyyat kuchh bhī kar saktā nahīñ
aadmī bhī kis qadar majbūr hai
duur thā to ruuh ke thā vo qarīb
paas ho kar dil se kitnā duur hai
bārhā maiñ ne bachā.ī jis kī jaañ
qatl par mere vahī māmūr hai
ḳhud se bhī chhupnā hai 'aḳhtar' ab muhāl
āñkhoñ meñ qātil koī mastūr hai
KHud-numai husn ka dastur hai
phir bhi aankhon se wo kyon mastur hai
hai rag-e-jaan se bhi wo nazdik-tar
go nigahon ki pahunch se dur hai
be-mashiyyat kuchh bhi kar sakta nahin
aadmi bhi kis qadar majbur hai
dur tha to ruh ke tha wo qarib
pas ho kar dil se kitna dur hai
barha main ne bachai jis ki jaan
qatl par mere wahi mamur hai
KHud se bhi chhupna hai 'aKHtar' ab muhaal
aankhon mein qatil koi mastur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.