KHud par nahin tuyur ki ab dastaras ki bas
ḳhud par nahīñ tuyūr kī ab dastaras ki bas
mastī meñ jā rahe haiñ yuuñ sū-e-qafas ki bas
ḳhvāhish kahāñ uruuj se utrī hai zer-e-ḳhāk
mazbūt duur se use is tarah kas ki bas
mahkā huā vajūd hai raushan hai merī ḳhaak
aise ravāñ hai phir terī bū-e-nafas ki bas
har dam tire ḳhayāl ne niilā kiyā badan
sab zahr khīñch le mirā is tarah Das ki bas
maktūb meñ likhā hai mujhe ab shifā mile
bīmār ko atā ho kabhī ek mas ki bas
āñkheñ lahū-luhān thiiñ chehre bhī the malāl
is tarah dīdanī thā vo sola-baras ki bas
ik umr kī thakān se hai jism shal 'nisār'
manzūr ab nahīñ mujhe bhāñg-o-jaras ki bas
KHud par nahin tuyur ki ab dastaras ki bas
masti mein ja rahe hain yun su-e-qafas ki bas
KHwahish kahan uruj se utri hai zer-e-KHak
mazbut dur se use is tarah kas ki bas
mahka hua wajud hai raushan hai meri KHak
aise rawan hai phir teri bu-e-nafas ki bas
har dam tere KHayal ne nila kiya badan
sab zahr khinch le mera is tarah Das ki bas
maktub mein likha hai mujhe ab shifa mile
bimar ko ata ho kabhi ek mas ki bas
aankhen lahu-luhan thin chehre bhi the malal
is tarah didani tha wo sola-baras ki bas
ek umr ki thakan se hai jism shal 'nisar'
manzur ab nahin mujhe bhang-o-jaras ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.