KHud-saKHta saza ko jo hum chun liye gae
ḳhud-sāḳhta sazā ko jo ham chun liye ga.e
hasrat ke jaal chāroñ taraf bun liye ga.e
phir ye batā ki dā'vā-e-sarf-e-nazar thā kyā
sīnoñ ke raaz tak bhī agar sun liye ga.e
niklā na koī hal bhī mohabbat ke jurm kā
ik ek kar ke jitne the sar dhun liye ga.e
tūfāñ meñ ġharq ho gayā jab shahr sab kā sab
tab jā ke sirf hosh ke nāḳhun liye ga.e
gadlī paḌī hai phir bhī koī jhiil zarf kī
zarrāt garche ret ke sab pun liye ga.e
rach-bas gayā thā zehn meñ ehsās hijr kā
lekin ḳhayāl she'r ke ḳhush-kun liye ga.e
jismoñ ke mail dhul ga.e dil ke na dhul sake
jitne bhī besh-qīmtī sābun liye ga.e
KHud-saKHta saza ko jo hum chun liye gae
hasrat ke jal chaaron taraf bun liye gae
phir ye bata ki da'wa-e-sarf-e-nazar tha kya
sinon ke raaz tak bhi agar sun liye gae
nikla na koi hal bhi mohabbat ke jurm ka
ek ek kar ke jitne the sar dhun liye gae
tufan mein gharq ho gaya jab shahr sab ka sab
tab ja ke sirf hosh ke naKHun liye gae
gadli paDi hai phir bhi koi jhil zarf ki
zarraat garche ret ke sab pun liye gae
rach-bas gaya tha zehn mein ehsas hijr ka
lekin KHayal she'r ke KHush-kun liye gae
jismon ke mail dhul gae dil ke na dhul sake
jitne bhi besh-qimti sabun liye gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.