KHud se ab mujhko juda yun hi meri jaan rakhna
ḳhud se ab mujh ko judā yuuñ hī mirī jaañ rakhnā
har ghaḌī ḳhvāb ko tum ḳhvāb-e-pareshāñ rakhnā
ab ibādat kī yahī ek hai sūrat baaqī
aañkh ko band kiye hoñT sanā-ḳhvāñ rakhnā
ḳhvāb ko zehn kahāñ hai na yahāñ hai na vahāñ
dil ke āñgan meñ kahīñ gor-e-ġharībāñ rakhnā
barahna rahne kī taufīq kahāñ se laa.e
ḳhud ko aayā hī nahīñ be-sar-o-sāmāñ rakhnā
raah chalte haiñ to dīvār uThā lete haiñ
kitnā dushvār hai āsāñ ko bhī āsāñ rakhnā
kyā salīqa thā vo 'ġhālib' hoñ ki hoñ 'mīr'-o-'firāq'
hijr meñ vasl kā vo naqsh-e-gurezāñ rakhnā
KHud se ab mujh ko juda yun hi meri jaan rakhna
har ghaDi KHwab ko tum KHwab-e-pareshan rakhna
ab ibaadat ki yahi ek hai surat baqi
aankh ko band kiye honT sana-KHwan rakhna
KHwab ko zehn kahan hai na yahan hai na wahan
dil ke aangan mein kahin gor-e-ghariban rakhna
barahna rahne ki taufiq kahan se lae
KHud ko aaya hi nahin be-sar-o-saman rakhna
rah chalte hain to diwar uTha lete hain
kitna dushwar hai aasan ko bhi aasan rakhna
kya saliqa tha wo 'ghaalib' hon ki hon 'mir'-o-'firaq'
hijr mein wasl ka wo naqsh-e-gurezan rakhna
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 639)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.