KHud se ho kar zindagi bhar be-KHabar meri tarah
ḳhud se ho kar zindagī bhar be-ḳhabar merī tarah
kaun kāTegā ye sahrā kā safar merī tarah
baad mere dasht se rishta ravā rakkhegā kaun
kaun degā saath is kā umr bhar merī tarah
duur tak nām-o-nishāñ bhī chhāñv kā koī nahīñ
kis qadar vīrān hai ye rahguzar merī tarah
mujh se rishta toḌ kar pachhtā.egī tū zindagī
phir nahīñ milne kā tujh ko ham-safar merī tarah
terī be-parvā.iyoñ se ai mire shahr-e-azīz
koī uktā kar na jaa.e chashm-e-tar merī tarah
chārāgar zaḳhmoñ ko mere gar samajhnā hai tujhe
dard ke dariyā meñ phir tū bhī utar merī tarah
kyā huā jugnū miyāñ kyā tum bhī dhoka khā ga.e
jāgte rahte ho kyūñkar raat bhar merī tarah
gaañv ke us moḌ par muddat se hai Thahrā huā
jaane kis kā muntazir hai vo shajar merī tarah
chāhne vaale mileñge tujh ko lākhoñ ai ġhazal
mil na pā.egā koī pāgal magar merī tarah
mujh ko jī bhar dekh le ai shahr ki phir mere baad
tujh ko milne kā nahīñ āshufta-sar merī tarah
KHud se ho kar zindagi bhar be-KHabar meri tarah
kaun kaTega ye sahra ka safar meri tarah
baad mere dasht se rishta rawa rakkhega kaun
kaun dega sath is ka umr bhar meri tarah
dur tak nam-o-nishan bhi chhanw ka koi nahin
kis qadar viran hai ye rahguzar meri tarah
mujh se rishta toD kar pachhtaegi tu zindagi
phir nahin milne ka tujh ko ham-safar meri tarah
teri be-parwaiyon se ai mere shahr-e-aziz
koi ukta kar na jae chashm-e-tar meri tarah
chaaragar zaKHmon ko mere gar samajhna hai tujhe
dard ke dariya mein phir tu bhi utar meri tarah
kya hua jugnu miyan kya tum bhi dhoka kha gae
jagte rahte ho kyunkar raat bhar meri tarah
ganw ke us moD par muddat se hai Thahra hua
jaane kis ka muntazir hai wo shajar meri tarah
chahne wale milenge tujh ko lakhon ai ghazal
mil na paega koi pagal magar meri tarah
mujh ko ji bhar dekh le ai shahr ki phir mere baad
tujh ko milne ka nahin aashufta-sar meri tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.