KHud se itni bhi adawat to nahin kar sakta
ḳhud se itnī bhī adāvat to nahīñ kar saktā
ab koī mujh se mohabbat to nahīñ kar saktā
kyuuñ nibhā.egā vo paimān-e-vafā mujh se ki vo
saarī duniyā se baġhāvat to nahīñ kar saktā
go vo mujrim hai mirā phir bhī kisī shaḳhs se maiñ
apne dilbar kī shikāyat to nahīñ kar saktā
do-ghaḌī saañs to lene de mujhe ai ġham-e-dahr
koī har aan mashaqqat to nahīñ kar saktā
ḳhaas hotā hai kisī kā koī manzūr-e-nazar
koī har ik pe ināyat to nahīñ kar saktā
kaise likkhūñ maiñ añdhere ko ujālā 'kāshif'
apne fan se maiñ ḳhayānat to nahīñ kar saktā
KHud se itni bhi adawat to nahin kar sakta
ab koi mujh se mohabbat to nahin kar sakta
kyun nibhaega wo paiman-e-wafa mujh se ki wo
sari duniya se baghawat to nahin kar sakta
go wo mujrim hai mera phir bhi kisi shaKHs se main
apne dilbar ki shikayat to nahin kar sakta
do-ghaDi sans to lene de mujhe ai gham-e-dahr
koi har aan mashaqqat to nahin kar sakta
KHas hota hai kisi ka koi manzur-e-nazar
koi har ek pe inayat to nahin kar sakta
kaise likkhun main andhere ko ujala 'kashif'
apne fan se main KHayanat to nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.