KHud se jo aashna nahin hota
ḳhud se jo āshnā nahīñ hotā
us kā koī ḳhudā nahīñ hotā
aasrā hai to bas ḳhudā kā hai
aur koī aasrā nahīñ hotā
rāsta dete haiñ samundar bhī
hausla ho to kyā nahīñ hotā
log aate haiñ log jaate haiñ
dil kisī se ḳhafā nahīñ hotā
maiñ use bevafā kahūñ kaise
har koī bā-vafā nahīñ hotā
us taraf ḳhud hī paañv chalte haiñ
jis taraf rāsta nahīñ hotā
kis qadar bā-vafā hai dil kā makīñ
koī lamha judā nahīñ hotā
jo ḳhudā hai vahī rahegā ḳhudā
koī banda ḳhudā nahīñ hotā
'momin-e-dehlavī' pe naaz na kar
koī banda burā nahīñ hotā
phir bhī vo 'mast' saath rahtā hai
kyā kareñ sāmnā nahīñ hotā
KHud se jo aashna nahin hota
us ka koi KHuda nahin hota
aasra hai to bas KHuda ka hai
aur koi aasra nahin hota
rasta dete hain samundar bhi
hausla ho to kya nahin hota
log aate hain log jate hain
dil kisi se KHafa nahin hota
main use bewafa kahun kaise
har koi ba-wafa nahin hota
us taraf KHud hi panw chalte hain
jis taraf rasta nahin hota
kis qadar ba-wafa hai dil ka makin
koi lamha juda nahin hota
jo KHuda hai wahi rahega KHuda
koi banda KHuda nahin hota
'momin-e-dehlawi' pe naz na kar
koi banda bura nahin hota
phir bhi wo 'mast' sath rahta hai
kya karen samna nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.