KHud se KHudi ke aib chhupana fuzul hai
ḳhud se ḳhudī ke aib chhupānā fuzūl hai
yuuñ aa.ine ko aañkh dikhānā fuzūl hai
ehsās ko mazāq banānā fuzūl hai
tum ko to dil kī baat batānā fuzūl hai
paanī se dil kī aag bujhānā fuzūl hai
ai shaḳhs āñsuoñ meñ nahānā fuzūl hai
mumkin hai niiñd niiñd na ho kar bahānā ho
vo so nahīñ rahā to jagānā fuzūl hai
us ne jo Thaan hī lī agar ḳhud-kushī kī to
phir to use usī se bachānā fuzūl hai
ham laakh tajraboñ se yahī kah rahe haiñ ab
ik-tarfa rabt ho to nibhānā fuzūl hai
jalva-numā haiñ aap agar ḳhvāb hī meñ to
phir to hamārā hosh meñ aanā fuzūl hai
hai ye taqāzā rasm-e-adab kā vagarna to
maiñ jāntā huuñ haath milānā fuzūl hai
KHud se KHudi ke aib chhupana fuzul hai
yun aaine ko aankh dikhana fuzul hai
ehsas ko mazaq banana fuzul hai
tum ko to dil ki baat batana fuzul hai
pani se dil ki aag bujhana fuzul hai
ai shaKHs aansuon mein nahana fuzul hai
mumkin hai nind nind na ho kar bahana ho
wo so nahin raha to jagana fuzul hai
us ne jo Than hi li agar KHud-kushi ki to
phir to use usi se bachana fuzul hai
hum lakh tajrabon se yahi kah rahe hain ab
ik-tarfa rabt ho to nibhana fuzul hai
jalwa-numa hain aap agar KHwab hi mein to
phir to hamara hosh mein aana fuzul hai
hai ye taqaza rasm-e-adab ka wagarna to
main jaanta hun hath milana fuzul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.