KHud-shanasi ho to har moajiza imkan mein hai
ḳhud-shanāsī ho to har mo.ajiza imkān meñ hai
ek chhoTī sī ḳhudā.ī har ik insān meñ hai
tū agar ba’ad-e-ḳhudā ḳhud ko na samjhe bar-haq
phir samajh le ki ḳhalal kuchh tire īmān meñ hai
hai mirī jaañ meñ tire jism kī kaifiyyat-e-lams
go mire paas hai tū aur na mire dhyān meñ hai
fasl-e-gul aa.ī to ham nazr kareñge ab ke
vo jo ik taar abhī apne garebān meñ hai
dāstāñ-go ko tire zikr se fursat to mile
naam merā bhī us afsāne ke unvān meñ hai
dil ne rakkhā na qadam shahr-e-badan se bāhar
zaat is ke sabab āvāra bayābān meñ hai
koī samjhā.e to 'shaukat' mire chārāgar ko
ye badan dekhtā hai aur ḳhalish jaan meñ hai
KHud-shanasi ho to har moajiza imkan mein hai
ek chhoTi si KHudai har ek insan mein hai
tu agar ba’ad-e-KHuda KHud ko na samjhe bar-haq
phir samajh le ki KHalal kuchh tere iman mein hai
hai meri jaan mein tere jism ki kaifiyyat-e-lams
go mere pas hai tu aur na mere dhyan mein hai
fasl-e-gul aai to hum nazr karenge ab ke
wo jo ek tar abhi apne gareban mein hai
dastan-go ko tere zikr se fursat to mile
nam mera bhi us afsane ke unwan mein hai
dil ne rakkha na qadam shahr-e-badan se bahar
zat is ke sabab aawara bayaban mein hai
koi samjhae to 'shaukat' mere chaaragar ko
ye badan dekhta hai aur KHalish jaan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.