KHud to kanon mein mere chiKH rahi hai duniya
ḳhud to kānoñ meñ mire chīḳh rahī hai duniyā
merī āvāz dabāne pe tulī hai duniyā
tum hī batlāo mujhe kis kī huī hai duniyā
kyā huā mujh se agar ruuTh ga.ī hai duniyā
zikr jin kā kahīñ tārīḳh ke safhoñ meñ nahīñ
un ke hī naqsh-e-qadam DhūñD rahī hai duniyā
maiñ bhalā kyā karūñ duniyā se vafā kī ummīd
mere rone pe to aksar ye hañsī hai duniyā
ham ko hī chain se jiine bhī nahīñ detī 'jamāl'
aur hamāre hī ye kāñdhoñ pe Tikī hai duniyā
KHud to kanon mein mere chiKH rahi hai duniya
meri aawaz dabane pe tuli hai duniya
tum hi batlao mujhe kis ki hui hai duniya
kya hua mujh se agar ruTh gai hai duniya
zikr jin ka kahin tariKH ke safhon mein nahin
un ke hi naqsh-e-qadam DhunD rahi hai duniya
main bhala kya karun duniya se wafa ki ummid
mere rone pe to aksar ye hansi hai duniya
hum ko hi chain se jine bhi nahin deti 'jamal'
aur hamare hi ye kandhon pe Tiki hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.