KHud ye faqa-kash-o-nadar kahan bolte hain
ḳhud ye fāqa-kash-o-nādār kahāñ bolte haiñ
dukh to jitne haiñ ba-andāz-e-fuġhāñ bolte haiñ
gūñge jazbe jo mohabbat meñ ravāñ bolte haiñ
haa.e kyoñ teġh-o-tabar tīr-o-kamāñ bolte haiñ
vo bahattar meñ se haiñ jo sar-e-darbār-e-shahāñ
bolte haiñ to sar-e-nok-e-sināñ bolte haiñ
'ishq vāloñ ko faqat husn se nisbat aur bas
'ishq vāloñ ke kahāñ sūd-o-ziyāñ bolte haiñ
ek ik khet kī shādāb gavāhī bar-haq
kab ye ḳhud saada o mā'sūm kisāñ bolte haiñ
tū ne dekhī hai ye ḳhākistar-e-jāñ hī to faqat
raakh hote hue ham sho’la-ba-jāñ bolte haiñ
chāñd taare bhī jo hote haiñ gurezāñ mujh se
kitne jugnū haiñ jo ummīd-rasāñ bolte haiñ
KHud ye faqa-kash-o-nadar kahan bolte hain
dukh to jitne hain ba-andaz-e-fughan bolte hain
gunge jazbe jo mohabbat mein rawan bolte hain
hae kyon tegh-o-tabar tir-o-kaman bolte hain
wo bahattar mein se hain jo sar-e-darbar-e-shahan
bolte hain to sar-e-nok-e-sinan bolte hain
'ishq walon ko faqat husn se nisbat aur bas
'ishq walon ke kahan sud-o-ziyan bolte hain
ek ek khet ki shadab gawahi bar-haq
kab ye KHud sada o ma'sum kisan bolte hain
tu ne dekhi hai ye KHakistar-e-jaan hi to faqat
rakh hote hue hum sho’la-ba-jaan bolte hain
chand tare bhi jo hote hain gurezan mujh se
kitne jugnu hain jo ummid-rasan bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.