KHuda-e-pak abhi itna mehrban to hai
ḳhudā-e-pāk abhī itnā mehrbān to hai
hamāre sar ye kirā.e kā sā.ebān to hai
aTak aTak ke sahī kuchh to bol letā huuñ
ki TūTī-phūTī sī merī bhī ik zabān to hai
bachā ke rakkhā hai aslāf kī amānat ko
hamāre ghar meñ buzurgoñ kā pān-dān to hai
ḳhudā ke bande ḳhudā.ī pe faḳhr paidā kar
tirī zamīñ na sahī terā āsmān to hai
kisī kā jazba-e-ulfat kisī kā josh-e-junūñ
abhī javān huā thā abhī javān to hai
samajh ke is ko huqūq-ul-ibād zinda huuñ
mirī galī meñ paḌosī kā nāb-dān to hai
yahīñ pe baiTh parinde shikār kar 'hamza'
yahāñ pe sher nahīñ sher kā machān to hai
KHuda-e-pak abhi itna mehrban to hai
hamare sar ye kirae ka saeban to hai
aTak aTak ke sahi kuchh to bol leta hun
ki TuTi-phuTi si meri bhi ek zaban to hai
bacha ke rakkha hai aslaf ki amanat ko
hamare ghar mein buzurgon ka pan-dan to hai
KHuda ke bande KHudai pe faKHr paida kar
teri zamin na sahi tera aasman to hai
kisi ka jazba-e-ulfat kisi ka josh-e-junun
abhi jawan hua tha abhi jawan to hai
samajh ke is ko huquq-ul-ibaad zinda hun
meri gali mein paDosi ka nab-dan to hai
yahin pe baiTh parinde shikar kar 'hamza'
yahan pe sher nahin sher ka machan to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.