KHuda hi jaane ki hai ya tah-e-mazar nahin
ḳhudā hī jaane ki hai yā tah-e-mazār nahīñ
vo be-qarār jise mar ke bhī qarār nahīñ
nigāh-e-yār magar ab bhī sharmsār nahīñ
ki ek arz-e-tamannā pe laakh baar nahīñ
tajalliyoñ ne mujhe pahle kar diyā be-ḳhud
jab aaya hosh to dekhā jamāl-e-yār nahīñ
na pūchh mere dil-e-ġham-zada kā haal na pūchh
ye vo chaman hai jo sharminda-e-bahār nahīñ
miTā.e jā mirī hastī miTā.e jā lekin...
rahe ḳhayāl zamāna kā e'tibār nahīñ
jabīn-e-shauq na sajde meñ itnī kar sabqat
har ek naqsh-e-qadam naqsh-e-pā-e-yār nahīñ
tumhāre va.ada kā ho laakh e'tibār magar
vo kyā kare jise qismat pe e'tibār nahīñ
kalīm hosh meñ aao milāo nazroñ ko
ye mauqa haath phir aane kā bār-bār nahīñ
nahīñ jo mere gunāhoñ kā kuchh hisāb 'afqar'
qasam hai rahmat-e-haq kā bhī kuchh shumār nahīñ
KHuda hi jaane ki hai ya tah-e-mazar nahin
wo be-qarar jise mar ke bhi qarar nahin
nigah-e-yar magar ab bhi sharmsar nahin
ki ek arz-e-tamanna pe lakh bar nahin
tajalliyon ne mujhe pahle kar diya be-KHud
jab aaya hosh to dekha jamal-e-yar nahin
na puchh mere dil-e-gham-zada ka haal na puchh
ye wo chaman hai jo sharminda-e-bahaar nahin
miTae ja meri hasti miTae ja lekin
rahe KHayal zamana ka e'tibar nahin
jabin-e-shauq na sajde mein itni kar sabqat
har ek naqsh-e-qadam naqsh-e-pa-e-yar nahin
tumhaare wada ka ho lakh e'tibar magar
wo kya kare jise qismat pe e'tibar nahin
kalim hosh mein aao milao nazron ko
ye mauqa hath phir aane ka bar-bar nahin
nahin jo mere gunahon ka kuchh hisab 'afqar'
qasam hai rahmat-e-haq ka bhi kuchh shumar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.