KHuda jaane kahan se ye kahan tak baat pahunchi hai
ḳhudā jaane kahāñ se ye kahāñ tak baat pahuñchī hai
ki mahfil meñ hamārī dāstāñ tak baat pahuñchī hai
chhiḌā jab zikr gulshan meñ guloñ ke rang-o-nik.hat kā
kisī ke gesū-e-ambar-fishāñ tak baat pahuñchī hai
bahut koshish to kī iḳhfā-e-rāz-e-ishq kī maiñ ne
kisī ke hijr meñ lekin fuġhāñ tak baat pahuñchī hai
maiñ is duniyā meñ vo vāmāñda-e-manzil huuñ ai 'sāqib'
mirī barbādiyoñ kī kārvāñ tak baat pahuñchī hai
KHuda jaane kahan se ye kahan tak baat pahunchi hai
ki mahfil mein hamari dastan tak baat pahunchi hai
chhiDa jab zikr gulshan mein gulon ke rang-o-nikhat ka
kisi ke gesu-e-ambar-fishan tak baat pahunchi hai
bahut koshish to ki iKHfa-e-raaz-e-ishq ki main ne
kisi ke hijr mein lekin fughan tak baat pahunchi hai
main is duniya mein wo wamanda-e-manzil hun ai 'saqib'
meri barbaadiyon ki karwan tak baat pahunchi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.