KHuda jaane zaban par aaj kis kafir ka nam aaya
ḳhudā jaane zabāñ par aaj kis kāfir kā naam aayā
mohabbat jhuum jhuum uTThī mashiyyat kā salām aayā
adab ai ārzū-e-shauq vaqt-e-ehtirām aayā
junūñ kī manzileñ tai ho chukīñ dil kā maqām aayā
tarīq-e-ishq meñ aksar ik aisā bhī maqām aayā
qadam uThne nahīñ paa.e ki manzil kā salām aayā
maze ke saath guzrā huuñ mohabbat kī manāzil se
kabhī apnā maqām aayā kabhī un kā maqām aayā
vo lamha bhī kisī kī anjuman meñ kyā qayāmat thā
nigāhoñ kī zabāñ meñ dil ko jab dil kā payām aayā
yakāyak aur dil kī dhaḌkanoñ kā tez ho jaanā
sañbhal ai ishq phir shāyad koī nāzuk maqām aayā
shaguft-e-dil hī ke dam tak thī rañg-o-bū kī duniyā bhī
na phir koī kalī chaTkī na phir koī payām aayā
badal kar rah ga.iiñ ai 'ārzū' qismat kī tahrīreñ
ye kis ke dast-e-nāzuk se mire hāthoñ meñ jaam aayā
KHuda jaane zaban par aaj kis kafir ka nam aaya
mohabbat jhum jhum uTThi mashiyyat ka salam aaya
adab ai aarzu-e-shauq waqt-e-ehtiram aaya
junun ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya
tariq-e-ishq mein aksar ek aisa bhi maqam aaya
qadam uThne nahin pae ki manzil ka salam aaya
maze ke sath guzra hun mohabbat ki manazil se
kabhi apna maqam aaya kabhi un ka maqam aaya
wo lamha bhi kisi ki anjuman mein kya qayamat tha
nigahon ki zaban mein dil ko jab dil ka payam aaya
yakayak aur dil ki dhaDkanon ka tez ho jaana
sanbhal ai ishq phir shayad koi nazuk maqam aaya
shaguft-e-dil hi ke dam tak thi rang-o-bu ki duniya bhi
na phir koi kali chaTki na phir koi payam aaya
badal kar rah gain ai 'arzu' qismat ki tahriren
ye kis ke dast-e-nazuk se mere hathon mein jam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.