KHuda jab tak na chahe kuchh kisi se ho nahin sakta
KHuda jab tak na chahe kuchh kisi se ho nahin sakta
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
MORE BYAbu Mohammad Syed Husain Saifi
ḳhudā jab tak na chāhe kuchh kisī se ho nahīñ saktā
valī se ho nahīñ saktā nabī se ho nahīñ saktā
tavajjoh shart hai kyā aadmī se ho nahīñ saktā
magar himmat hī karnā kāhilī se ho nahīñ saktā
karūñ kyoñ iltijā ġhairoñ ke aage tañg-dastī kī
badal Daale muqaddar ye kisī se ho nahīñ saktā
agar jāhil kā parda hai to ahl-e-ilm kī zīnat
magar nuqsān apnā ḳhāmushī se ho nahīñ saktā
burā.ī us kī kar ke kyoñ karūñ maiñ apnā dil halkā
mirā nuqsān jis kī dushmanī se ho nahīñ saktā
pareshāñ muflisī se aap hī vo kyoñ na ho lekin
faqīroñ ko jhiḌak denā sakhī se ho nahīñ saktā
ghaTā.eñ yaas kī ummīd par jab tak na chhā jaa.eñ
koī bezār apnī zindagī se ho nahīñ saktā
usī zālim ne shāyad raaz merā kar diyā ifshā
pate kī baat kahnā ajnabī se ho nahīñ saktā
gunāhoñ se vahī Dartā hai jis ko ḳhauf-e-ḳhāliq hai
fareb-e-nafs se bachnā sabhī se ho nahīñ saktā
kalejā qais kā dil kohkan kā chāhiye 'saifī'
kisī par jaan denā har kisī se ho nahīñ saktā
KHuda jab tak na chahe kuchh kisi se ho nahin sakta
wali se ho nahin sakta nabi se ho nahin sakta
tawajjoh shart hai kya aadmi se ho nahin sakta
magar himmat hi karna kahili se ho nahin sakta
karun kyon iltija ghairon ke aage tang-dasti ki
badal Dale muqaddar ye kisi se ho nahin sakta
agar jahil ka parda hai to ahl-e-ilm ki zinat
magar nuqsan apna KHamushi se ho nahin sakta
burai us ki kar ke kyon karun main apna dil halka
mera nuqsan jis ki dushmani se ho nahin sakta
pareshan muflisi se aap hi wo kyon na ho lekin
faqiron ko jhiDak dena sakhi se ho nahin sakta
ghaTaen yas ki ummid par jab tak na chha jaen
koi bezar apni zindagi se ho nahin sakta
usi zalim ne shayad raaz mera kar diya ifsha
pate ki baat kahna ajnabi se ho nahin sakta
gunahon se wahi Darta hai jis ko KHauf-e-KHaliq hai
fareb-e-nafs se bachna sabhi se ho nahin sakta
kaleja qais ka dil kohkan ka chahiye 'saifi'
kisi par jaan dena har kisi se ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.