KHuda ka shukr ki sunta raha KHuda meri
ḳhudā kā shukr ki suntā rahā ḳhudā merī
kabhī na arsh se lauTī koī duā merī
maiñ māñgtī huuñ usī se ki vo mirā rab hai
use pasand hai shāyad yahī adā merī
chalā gayā thā jo vāpas palaT bhī saktā thā
magar gale meñ phañsī rah ga.ī sadā merī
shumār hote haiñ shāyad vo sab farishtoñ meñ
gināte rahte haiñ jo log har ḳhatā merī
hayāt-o-maut ke aage bhī zindagī hai kahīñ
na ibtidā hai mirī ye na intihā merī
ye vaqt-e-naz.a mirā chārāgar samajh paayā
bas ek lafz mohabbat kā thā davā merī
badal rahī huuñ musavvir maiñ apne dhuñdle rang
ab ek baar ye tasvīr phir banā merī
hamesha chāhā ki sabr-o-razā pe sher kahūñ
hamesha fikr rukī jā ke karbalā merī
mire imaam bhī haq-go rahe sar-e-neza
'hinā' alam bhī rahī azm kī ridā merī
KHuda ka shukr ki sunta raha KHuda meri
kabhi na arsh se lauTi koi dua meri
main mangti hun usi se ki wo mera rab hai
use pasand hai shayad yahi ada meri
chala gaya tha jo wapas palaT bhi sakta tha
magar gale mein phansi rah gai sada meri
shumar hote hain shayad wo sab farishton mein
ginate rahte hain jo log har KHata meri
hayat-o-maut ke aage bhi zindagi hai kahin
na ibtida hai meri ye na intiha meri
ye waqt-e-naza mera chaaragar samajh paya
bas ek lafz mohabbat ka tha dawa meri
badal rahi hun musawwir main apne dhundle rang
ab ek bar ye taswir phir bana meri
hamesha chaha ki sabr-o-raza pe sher kahun
hamesha fikr ruki ja ke karbala meri
mere imam bhi haq-go rahe sar-e-neza
'hina' alam bhi rahi azm ki rida meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.