KHuda ka shukr shahadat ke daere mein hun
ḳhudā kā shukr shahādat ke dā.ere meñ huuñ
maiñ qātiloñ kī hifāzat ke dā.ere meñ huuñ
har ek pal meñ hai yaum-e-hisāb kī aahaT
abhī se jaise qayāmat ke dā.ere meñ huuñ
siyāsatoñ ne mirī keñchulī nahīñ badlī
ḳhushā ki ab bhī sharāfat ke dā.ere meñ huuñ
ḳhushī sukūn mayassar nahīñ yahāñ bhī mujhe
tumheñ ye rashk ki daulat ke dā.ere meñ huuñ
milā huā hai rivāyat kā silsila mujh se
jadīd ho ke qadāmat ke dā.ere meñ huuñ
KHuda ka shukr shahadat ke daere mein hun
main qatilon ki hifazat ke daere mein hun
har ek pal mein hai yaum-e-hisab ki aahaT
abhi se jaise qayamat ke daere mein hun
siyasaton ne meri kenchuli nahin badli
KHusha ki ab bhi sharafat ke daere mein hun
KHushi sukun mayassar nahin yahan bhi mujhe
tumhein ye rashk ki daulat ke daere mein hun
mila hua hai riwayat ka silsila mujh se
jadid ho ke qadamat ke daere mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.