KHuda kahunga tumhein naKHuda kahunga tumhein
ḳhudā kahūñgā tumheñ nāḳhudā kahūñgā tumheñ
pukārnā hī paḌegā to kyā kahūñgā tumheñ
mirī pasand mire naam par na harf aa.e
bahut hasīn bahut bā-vafā kahūñgā tumheñ
hazār dost haiñ vaj.h-e-malāl pūchheñge
sabab to sirf tumhīñ ho maiñ kyā kahūñgā tumheñ
abhī se zehn meñ rakhnā nazākateñ merī
ki har nigāh-e-karam par ḳhafā kahūñgā tumheñ
abhī se apnī bhī majbūriyoñ ko soch rakho
ki tum milo na milo mudda.ā kahūñgā tumheñ
qasam sharāfat-e-fan kī ki ab ġhazal meñ kabhī
tumhārā naam na lūñgā sabā kahūñgā tumheñ
KHuda kahunga tumhein naKHuda kahunga tumhein
pukarna hi paDega to kya kahunga tumhein
meri pasand mere nam par na harf aae
bahut hasin bahut ba-wafa kahunga tumhein
hazar dost hain wajh-e-malal puchhenge
sabab to sirf tumhin ho main kya kahunga tumhein
abhi se zehn mein rakhna nazakaten meri
ki har nigah-e-karam par KHafa kahunga tumhein
abhi se apni bhi majburiyon ko soch rakho
ki tum milo na milo muddaa kahunga tumhein
qasam sharafat-e-fan ki ki ab ghazal mein kabhi
tumhaara nam na lunga saba kahunga tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.