KHuda kare ki ye miTTi bikhar bhi jae ab
ḳhudā kare ki ye miTTī bikhar bhī jaa.e ab
chaḌhā huā hai jo dariyā utar bhī jaa.e ab
ye roz roz kā milnā bichhaḌnā khaltā hai
vo merī ruuh ke andar utar bhī jaa.e ab
vahāñ vo phuul sā chehra hai muntazar us kā
kaho ye shā.ir-e-āvāra ghar bhī jaa.e ab
maiñ apne-āp ko kab tak yūñhī sameTe phirūñ
chale vo āñdhī ki sab kuchh bikhar bhī jaa.e ab
usī kī vaj.h se saare vabāl haiñ 'fārūq'
badan kā qarz adā ho ye sar bhī jaa.e ab
KHuda kare ki ye miTTi bikhar bhi jae ab
chaDha hua hai jo dariya utar bhi jae ab
ye roz roz ka milna bichhaDna khalta hai
wo meri ruh ke andar utar bhi jae ab
wahan wo phul sa chehra hai muntazar us ka
kaho ye shair-e-awara ghar bhi jae ab
main apne-ap ko kab tak yunhi sameTe phirun
chale wo aandhi ki sab kuchh bikhar bhi jae ab
usi ki wajh se sare wabaal hain 'faruq'
badan ka qarz ada ho ye sar bhi jae ab
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 21)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.