KHuda ke ghar mein KHuda ke siwa na tha kuchh bhi
ḳhudā ke ghar meñ ḳhudā ke sivā na thā kuchh bhī
mirī duā ke liye rāsta na thā kuchh bhī
mire ḳhilāf zamāne ko vo na kar paayā
mirī burā.ī meñ shāyad burā na thā kuchh bhī
milā thā vo mujhe kal shab bahut hī ujlat meñ
maiñ sochtā huuñ mujhe sochnā na thā kuchh bhī
tamām umr maiñ kartā rahā tirī taqlīd
yahī ḳhatā hai ki maiñ jāntā na thā kuchh bhī
vo aise vaqt mirā saath dene aaya thā
vo jab kisī bhī tarah kaam kā na thā kuchh bhī
na kuchh rahegā mire baad us jagah 'kishvar''
ki mujh se pahle kabhī us jagah na thā kuchh bhī
KHuda ke ghar mein KHuda ke siwa na tha kuchh bhi
meri dua ke liye rasta na tha kuchh bhi
mere KHilaf zamane ko wo na kar paya
meri burai mein shayad bura na tha kuchh bhi
mila tha wo mujhe kal shab bahut hi ujlat mein
main sochta hun mujhe sochna na tha kuchh bhi
tamam umr main karta raha teri taqlid
yahi KHata hai ki main jaanta na tha kuchh bhi
wo aise waqt mera sath dene aaya tha
wo jab kisi bhi tarah kaam ka na tha kuchh bhi
na kuchh rahega mere baad us jagah 'kishwar
ki mujh se pahle kabhi us jagah na tha kuchh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.