KHuda ke ghar saDak koi nahin jati
ḳhudā ke ghar saḌak koī nahīñ jaatī
chalo paidal vahāñ lorry nahīñ jaatī
chalī jaatī hai hañsne aur hañsāne se
davā khāne se bīmārī nahīñ jaatī
ziyāda sochne se niiñd jaatī hai
magar is se pareshānī nahīñ jaatī
muāfī maañ ne de dī ḳhvāb meñ aa kar
magar sar se pashemānī nahīñ jaatī
use jaane diyā rokā nahīñ maiñ ne
kabhī us kī ye hairānī nahīñ jaatī
mohabbat ho ga.ī to ho ga.ī 'ātish'
kabhī ye vaalī bīmārī nahīñ jaatī
KHuda ke ghar saDak koi nahin jati
chalo paidal wahan lorry nahin jati
chali jati hai hansne aur hansane se
dawa khane se bimari nahin jati
ziyaada sochne se nind jati hai
magar is se pareshani nahin jati
muafi man ne de di KHwab mein aa kar
magar sar se pashemani nahin jati
use jaane diya roka nahin main ne
kabhi us ki ye hairani nahin jati
mohabbat ho gai to ho gai 'atish'
kabhi ye wali bimari nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.