ḳhudā ke vāste kuchh din ho mehrbāñ sayyād
na kar bahār meñ mujh ko ravāñ-davāñ sayyād
baḌhī hai had se sivā garmī-e-fuġhāñ sayyād
ki ab to ḳhushk huī jaatī hai zabāñ sayyād
guzishta haal mujhe apnā yaad karne de
sunā.ūñgā tujhe phir apnī dāstāñ sayyād
qafas meñ dekh ke afsurda mehrbānī kī
sunā rahā hai mujhe apnī dāstāñ sayyād
ġharaz ye hai ki rahūñ hashr tak asiir tirā
mare pe kāTnā merī na beḌiyāñ sayyād
asiir kahte haiñ sab merī bad-zabānī se
ajab nahīñ ki abhī kaaT le zabāñ sayyād
paroñ ko khol ke us ko duā.eñ detā hai
jo kuchh asiir pe hotā hai meherbāñ sayyād
zamāna qaid meñ guzrā to kī hai dil-jūī
ki rafta rafta huā hai mizāj-dāñ sayyād
asiir tū ne kiyā hai tujhī se kahnā hai
burā bhalā mujhe kahnā hai bāġhbāñ sayyād
kiyā hai qaid magar ye batā ḳhudā ke liye
chaman se le ke mujhe jā.egā kahāñ sayyād
qafas ke paas agar aa ke baiTh dam bhar ko
maze kī tujh ko sunā.ūñgā dāstāñ sayyād
chaman se dasht meñ jaanā hai bulbuloñ kā muhāl
sunā hai raah meñ lūTegā kārvāñ sayyād
use shajar ko girāyā hai baaġh meñ tū ne
ki jis kī shāḳh pe thā merā āshiyāñ sayyād
na āshiyāñ hai na maiñ huuñ na hai qafas baaqī
samajh samajh ke miTāyā mirā nishāñ sayyād
yaqīn hai ki kisī roz dil ko thāmegā
sunī asīroñ kī chhup-chhup ke dāstāñ sayyād
jo ab zabāñ se karūñ jal ke ḳhaak ho jaa.eñ
barā.e naam qafas kī haiñ tīliyāñ sayyād
kare asīroñ pe jo zulm tujh ko zebā hai
zamīn terī hai terā hai āsmāñ sayyād
huī hai qaid meñ muddat ki kuchh bhī yaad nahīñ
ki thī bahār gulistāñ meñ yā ḳhizāñ sayyād
asar to dekh maiñ zikr-e-bahār kartā huuñ
ki sabz hoñgī qafas kī bhī tīliyāñ sayyād
'shafīq' zabt kiyā aisā āh-e-sozāñ ko
jigar se ab mire uThne lagā dhuāñ sayyād
KHuda ke waste kuchh din ho mehrban sayyaad
na kar bahaar mein mujh ko rawan-dawan sayyaad
baDhi hai had se siwa garmi-e-fughan sayyaad
ki ab to KHushk hui jati hai zaban sayyaad
guzishta haal mujhe apna yaad karne de
sunaunga tujhe phir apni dastan sayyaad
qafas mein dekh ke afsurda mehrbani ki
suna raha hai mujhe apni dastan sayyaad
gharaz ye hai ki rahun hashr tak asir tera
mare pe kaTna meri na beDiyan sayyaad
asir kahte hain sab meri bad-zabani se
ajab nahin ki abhi kaT le zaban sayyaad
paron ko khol ke us ko duaen deta hai
jo kuchh asir pe hota hai meherban sayyaad
zamana qaid mein guzra to ki hai dil-jui
ki rafta rafta hua hai mizaj-dan sayyaad
asir tu ne kiya hai tujhi se kahna hai
bura bhala mujhe kahna hai baghban sayyaad
kiya hai qaid magar ye bata KHuda ke liye
chaman se le ke mujhe jaega kahan sayyaad
qafas ke pas agar aa ke baiTh dam bhar ko
maze ki tujh ko sunaunga dastan sayyaad
chaman se dasht mein jaana hai bulbulon ka muhaal
suna hai rah mein luTega karwan sayyaad
use shajar ko giraya hai bagh mein tu ne
ki jis ki shaKH pe tha mera aashiyan sayyaad
na aashiyan hai na main hun na hai qafas baqi
samajh samajh ke miTaya mera nishan sayyaad
yaqin hai ki kisi roz dil ko thamega
suni asiron ki chhup-chhup ke dastan sayyaad
jo ab zaban se karun jal ke KHak ho jaen
barae nam qafas ki hain tiliyan sayyaad
kare asiron pe jo zulm tujh ko zeba hai
zamin teri hai tera hai aasman sayyaad
hui hai qaid mein muddat ki kuchh bhi yaad nahin
ki thi bahaar gulistan mein ya KHizan sayyaad
asar to dekh main zikr-e-bahaar karta hun
ki sabz hongi qafas ki bhi tiliyan sayyaad
'shafiq' zabt kiya aisa aah-e-sozan ko
jigar se ab mere uThne laga dhuan sayyaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.