KHuda ki den se saman-e-zist kya na mila
ḳhudā kī den se sāmān-e-zīst kyā na milā
magar yahī ki mujhe ziist kā maza na milā
navā-e-dil ko koī parda sāzgār nahīñ
chaman meñ nāla-e-bulbul se to gila na milā
sukūn naam hai naql-e-balā ke vaqfe kā
nashāt-e-zīst kā is ke sivā patā na milā
ye haal tā dam-e-āḳhir niyāz-e-shauq rahā
bahut milā jo mujhe nāla-e-rasā na milā
murād dil kī na bar aa.ī is ko kyā kahiye
jahāñ meñ dil hī mujhe hasb-e-mudda.ā na milā
kisī bahāne to jaanā hai ku-e-dil-bar meñ
talāsh-e-dil se ġharaz kyā milā milā na milā
huā yahī ki ham ehsān ḳhud uThā na sake
nahīñ ki qulzum-e-hastī meñ nāḳhudā na milā
ḳhulūs-e-ishq se miltā rahā ġham-e-paiham
hanūz merī vafā kā koī sila na milā
vo ek aur yahāñ āshnā-e-dard hazār
bhalā huā jo dil-e-dard-āshnā na milā
khulā to hai abhī 'shākir' dar-e-ḳhazāna-e-ġhaib
mile kise ki yahāñ qismat-āzmā na milā
KHuda ki den se saman-e-zist kya na mila
magar yahi ki mujhe zist ka maza na mila
nawa-e-dil ko koi parda sazgar nahin
chaman mein nala-e-bulbul se to gila na mila
sukun nam hai naql-e-bala ke waqfe ka
nashat-e-zist ka is ke siwa pata na mila
ye haal ta dam-e-aKHir niyaz-e-shauq raha
bahut mila jo mujhe nala-e-rasa na mila
murad dil ki na bar aai is ko kya kahiye
jahan mein dil hi mujhe hasb-e-muddaa na mila
kisi bahane to jaana hai ku-e-dil-bar mein
talash-e-dil se gharaz kya mila mila na mila
hua yahi ki hum ehsan KHud uTha na sake
nahin ki qulzum-e-hasti mein naKHuda na mila
KHulus-e-ishq se milta raha gham-e-paiham
hanuz meri wafa ka koi sila na mila
wo ek aur yahan aashna-e-dard hazar
bhala hua jo dil-e-dard-ashna na mila
khula to hai abhi 'shakir' dar-e-KHazana-e-ghaib
mile kise ki yahan qismat-azma na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.