KHuda ki hamd ke wahdat ke naghme raqs karte hain
ḳhudā kī hamd ke vahdat ke naġhme raqs karte haiñ
magan zikr-e-ḳhudā meñ jab parinde raqs karte haiñ
musāvāt amn bhā.ī-chārgī adl-o-amāñ kyoñ ho
jahāñ aivān-e-shāhī meñ luTere raqs karte haiñ
husūl-e-rizq meñ parhez se barakat jo hai ghar meñ
har ik goshe meñ rāhat ke ujāle raqs karte haiñ
tabāhī nāchtī hai intishār-o-shar machalte haiñ
jahāñ tārīḳh ke jhūTe havāle raqs karte haiñ
zamīr-o-ābrū izzat yahāñ har chiiz biktī hai
ye hai bāzār-e-zar sone ke sikke raqs karte haiñ
KHuda ki hamd ke wahdat ke naghme raqs karte hain
magan zikr-e-KHuda mein jab parinde raqs karte hain
musawat amn bhai-chaargi adl-o-aman kyon ho
jahan aiwan-e-shahi mein luTere raqs karte hain
husul-e-rizq mein parhez se barakat jo hai ghar mein
har ek goshe mein rahat ke ujale raqs karte hain
tabahi nachti hai intishaar-o-shar machalte hain
jahan tariKH ke jhuTe hawale raqs karte hain
zamir-o-abru izzat yahan har chiz bikti hai
ye hai bazar-e-zar sone ke sikke raqs karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.