KHuda ki qasam jab mulaqat hogi

KHuda ki qasam jab mulaqat hogi
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
ḳhudā kī qasam jab mulāqāt hogī
jamāl-e-tabassum kī barsāt hogī
qadam se qadam jab milā kar chaleñge
zamāne kī ham par mudārāt hogī
hasīñ gesuoñ kā jo saaya milegā
na to sub.h hogī na hī raat hogī
zabāñ kā jo pāband hotā nahīñ hai
zamāne meñ kyā us kī auqāt hogī
nasheman pe bijlī girā kar to dekho
na.ī zindagī kī shurū'āt hogī
jahāñ ḳhuun ho jā.egā hasratoñ kā
na Dolī uThegī na bārāt hogī
nadāmat kā ehsās jāgegā jis dam
to dil meñ na koī ḳhurāfāt hogī
kabhī ham se khul kar milā kījiyegā
yahī to mohabbat kī sauġhāt hogī
'adīb' un kī ḳhāmoshiyoñ par na jaao
koī raaz hogā koī baat hogī
KHuda ki qasam jab mulaqat hogi
jamal-e-tabassum ki barsat hogi
qadam se qadam jab mila kar chalenge
zamane ki hum par mudaraat hogi
hasin gesuon ka jo saya milega
na to subh hogi na hi raat hogi
zaban ka jo paband hota nahin hai
zamane mein kya us ki auqat hogi
nasheman pe bijli gira kar to dekho
nai zindagi ki shuru'at hogi
jahan KHun ho jaega hasraton ka
na Doli uThegi na baraat hogi
nadamat ka ehsas jagega jis dam
to dil mein na koi KHurafat hogi
kabhi hum se khul kar mila kijiyega
yahi to mohabbat ki saughat hogi
'adib' un ki KHamoshiyon par na jao
koi raaz hoga koi baat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.