KHuda ki shan hum phir kucha-e-dildar mein aae
KHuda ki shan hum phir kucha-e-dildar mein aae
Talat Siddiqi Nahtori
MORE BYTalat Siddiqi Nahtori
ḳhudā kī shaan ham phir kūcha-e-dildār meñ aa.e
ḳhushā-qismat ki phir ham aaj bazm-e-yār meñ aa.e
kare koī zuleḳhā qadrdānī dekhiye kab tak
vo yūsuf haiñ ki bikne misr ke bāzār meñ aa.e
tabī.at ho chukī hai sair apnī sair-e-gulshan se
junūñ kī ḳhair ho phir vādī-e-pur-ḳhār meñ aa.e
bahut uktā ga.e sahrā kī taptī dhuup se jab ham
to phir āḳhir tumhāre sāya-e-dīvār meñ aa.e
ḳhizāñ ke daur meñ kyā sair-e-gulshan ke liye aate
guloñ par jab bahār aa.ī to ham gulzār meñ aa.e
kise kis ne bulāyā kaun aaya kis liye aaya
munāsib hai na ab ye tazkira aġhyār meñ aa.e
sazā kā mustahiq honā zabāñ-bandī se behtar hai
sadā-e-haq kī ḳhātir justujū-e-dār meñ aa.e
tumhīñ ko dekhne vaale the ham āḳhir kahāñ jaate
tumhāre dar pe āḳhir hasrat-e-dīdār meñ aa.e
bayān imkān se bāhar hai jazbāt-e-aqīdat kā
guzartī hai jo dil par kis tarah ash.ār meñ aa.e
itā.at quvvat-e-bātil kī ho jaa.e na ai 'tal.at'
kisī sūrat na ḳham hargiz sar-e-ḳhuddār meñ aa.e
KHuda ki shan hum phir kucha-e-dildar mein aae
KHusha-qismat ki phir hum aaj bazm-e-yar mein aae
kare koi zuleKHa qadrdani dekhiye kab tak
wo yusuf hain ki bikne misr ke bazar mein aae
tabiat ho chuki hai sair apni sair-e-gulshan se
junun ki KHair ho phir wadi-e-pur-KHar mein aae
bahut ukta gae sahra ki tapti dhup se jab hum
to phir aaKHir tumhaare saya-e-diwar mein aae
KHizan ke daur mein kya sair-e-gulshan ke liye aate
gulon par jab bahaar aai to hum gulzar mein aae
kise kis ne bulaya kaun aaya kis liye aaya
munasib hai na ab ye tazkira aghyar mein aae
saza ka mustahiq hona zaban-bandi se behtar hai
sada-e-haq ki KHatir justuju-e-dar mein aae
tumhin ko dekhne wale the hum aaKHir kahan jate
tumhaare dar pe aaKHir hasrat-e-didar mein aae
bayan imkan se bahar hai jazbaat-e-aqidat ka
guzarti hai jo dil par kis tarah ashaar mein aae
itaat quwwat-e-baatil ki ho jae na ai 'talat'
kisi surat na KHam hargiz sar-e-KHuddar mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.