Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda ki sidq-e-dil se tum itaat kar ke dekho

Aisha Ayub

KHuda ki sidq-e-dil se tum itaat kar ke dekho

Aisha Ayub

MORE BYAisha Ayub

    ḳhudā sidq-e-dil se tum itā.at kar ke dekho

    ibādat gar nahīñ hotī mohabbat kar ke dekho

    kisī ġham sameTe kab talak baiThe rahoge

    amānat meñ zarā to ḳhayānat kar ke dekho

    tumhārā dil tumhārī ik nahīñ suntā hai jānāñ

    zarā mere havāle ye musībat kar ke dekho

    mukammal chāhiye mujh ko tumhārī be-vafā.ī

    mohabbat kar nahīñ sakte adāvat kar ke dekho

    ḳhamoshī hijr chashm-e-nam dil-e-āshufta le kar

    zamāne bhar ḳhushiyoñ tijārat kar ke dekho

    tumheñ duniyā badalnī hai to merī baat maano

    jhukānā chhoḌ do sar ko baġhāvat kar ke dekho

    KHuda ki sidq-e-dil se tum itaat kar ke dekho

    ibaadat gar nahin hoti mohabbat kar ke dekho

    kisi ka gham sameTe kab talak baiThe rahoge

    amanat mein zara si to KHayanat kar ke dekho

    tumhaara dil tumhaari ek nahin sunta hai jaanan

    zara mere hawale ye musibat kar ke dekho

    mukammal chahiye mujh ko tumhaari be-wafai

    mohabbat kar nahin sakte adawat kar ke dekho

    KHamoshi hijr chashm-e-nam dil-e-ashufta le kar

    zamane bhar ki KHushiyon ki tijarat kar ke dekho

    tumhein duniya badalni hai to meri baat mano

    jhukana chhoD do sar ko baghawat kar ke dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now