KHuda ki zat ko hairat ke zawiye se dekh
ḳhudā kī zaat ko hairat ke zāviye se dekh
nazar bhī aa.egā manzar ko hausle se dekh
yaqīñ ke ḳhauf ne kitnoñ ko rok rakkhā hai
ye e'tibār zarūrat ke falsafe se dekh
tire ḳhilāf muravvat meñ kuchh nahīñ bolā
tū aa.ine ko zarā aur vasvase se dekh
ghumā-phirā ke bhī sīdhī sī baat kyā karnā
maiñ sāmne kī haqīqat huuñ sāmne se dekh
zamīn ghūmtī hai so kahīñ nahīñ jaatī
ye dā.ere ke masā.il haiñ dā.ere se dekh
maiñ inhimāk se gajroñ ke band bāñdhtā huuñ
tū muskurā ke mohabbat se aa.ine se dekh
KHuda ki zat ko hairat ke zawiye se dekh
nazar bhi aaega manzar ko hausle se dekh
yaqin ke KHauf ne kitnon ko rok rakkha hai
ye e'tibar zarurat ke falsafe se dekh
tere KHilaf murawwat mein kuchh nahin bola
tu aaine ko zara aur waswase se dekh
ghuma-phira ke bhi sidhi si baat kya karna
main samne ki haqiqat hun samne se dekh
zamin ghumti hai so kahin nahin jati
ye daere ke masail hain daere se dekh
main inhimak se gajron ke band bandhta hun
tu muskura ke mohabbat se aaine se dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.