KHuda ko bhule na jab tak hamein KHuda na mila
Interesting Fact
1929
ḳhudā ko bhūle na jab tak hameñ ḳhudā na milā
ye mudda.ā bhī ba-juz tark-e-mudda.ā na milā
qadam qadam pe na kyuuñ sajda-reziyāñ kar luuñ
huzūr-e-husn ye mauqa milā milā na milā
kalīm-e-tūr ye kyuuñ tuur par girī bijlī
nigāh-e-nāz ko kyā koī bā-vafā na milā
uḌā ke le ga.ī parvāz shauq-e-manzil tak
adam kī raah meñ koī shikasta-pā na milā
qafas meñ aa.e ajal yā mareñ nasheman meñ
do-roza ziist kā ham ko kahīñ mazā na milā
junūn-e-shauq kī ḳhuddāriyāñ ma.āz-allāh
mizāj-dāñ koī 'qaisar' ko rahnumā na milā
KHuda ko bhule na jab tak hamein KHuda na mila
ye muddaa bhi ba-juz tark-e-muddaa na mila
qadam qadam pe na kyun sajda-reziyan kar lun
huzur-e-husn ye mauqa mila mila na mila
kalim-e-tur ye kyun tur par giri bijli
nigah-e-naz ko kya koi ba-wafa na mila
uDa ke le gai parwaz shauq-e-manzil tak
adam ki rah mein koi shikasta-pa na mila
qafas mein aae ajal ya maren nasheman mein
do-roza zist ka hum ko kahin maza na mila
junun-e-shauq ki KHuddariyan maaz-allah
mizaj-dan koi 'qaisar' ko rahnuma na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.