KHuda ne jab mujh bashar ko apna KHalaf banaya sawal ye hai
ḳhudā ne jab mujh bashar ko apnā ḳhalaf banāyā savāl ye hai
to maiñ ne kyoñ āsmān sar par nahīñ uThāyā savāl ye hai
hudūd toḌe baġhair duniyā meñ koī naġhma amar nahīñ hai
mire muġhannī ne āTHvāñ sur kahāñ lagāyā savāl ye hai
kaTe phaTe ham to yūñhī zāġh-o-zaġhan ke dar par paḌe hue haiñ
hamāre lāshoñ ko panditoñ ne nahīñ jalāyā savāl ye hai
varā-e-insāñ kahīñ to zulmat kā koī gaTh-joḌ hai ḳhudā se
qarīb rahtā hai is qadar raushnī ke saaya savāl ye hai
kahāñ hai vo saltanat vo duniyā jahāñ pe terī hukūmateñ haiñ
kahīñ to hogī tirī ḳhudā.ī mire ḳhudāyā savāl ye hai
savāl ye to nahīñ jo tū ne kahā ki ab ham nahīñ mileñge
savāl ye hai ki kyoñ tujhe ye ḳhayāl aaya savāl ye hai
jo ātish-e-ruḳh se gulsitāñ ko gulāb ho kar jalā rahā hai
hazār hairat hai tū ne ye kaisā gul khilāyā savāl ye hai
KHuda ne jab mujh bashar ko apna KHalaf banaya sawal ye hai
to main ne kyon aasman sar par nahin uThaya sawal ye hai
hudud toDe baghair duniya mein koi naghma amar nahin hai
mere mughanni ne aaTHwan sur kahan lagaya sawal ye hai
kaTe phaTe hum to yunhi zagh-o-zaghan ke dar par paDe hue hain
hamare lashon ko panditon ne nahin jalaya sawal ye hai
wara-e-insan kahin to zulmat ka koi gaTh-joD hai KHuda se
qarib rahta hai is qadar raushni ke saya sawal ye hai
kahan hai wo saltanat wo duniya jahan pe teri hukumaten hain
kahin to hogi teri KHudai mere KHudaya sawal ye hai
sawal ye to nahin jo tu ne kaha ki ab hum nahin milenge
sawal ye hai ki kyon tujhe ye KHayal aaya sawal ye hai
jo aatish-e-ruKH se gulsitan ko gulab ho kar jala raha hai
hazar hairat hai tu ne ye kaisa gul khilaya sawal ye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.