KHuda ne jin ke maani nahin batae hain
ḳhudā ne jin ke ma.ānī nahīñ batā.e haiñ
vo harf zehn meñ apnī jagah banā.e haiñ
sitāre shams-o-qamar aañkh raushnī rasta
ham aisī ne.amateñ pā ke bhī laḌkhaḌā.e haiñ
kise ḳharīdeñ kise chhoḌ deñ ye mushkil hai
hamāre ḳhvāb har ik shai meñ jhilmilā.e haiñ
kabhī-kabhār agar maiñ zabāñ pe aaya hai
ham apnī zaat se kis darja ḳhauf khaa.e haiñ
jo apne aap pe qaabū kabhī na rakh paa.e
ab un ke haath meñ sab iḳhtiyār aa.e haiñ
har ek jins se rakhtā hai rābta apnā
bashar ne apne ka.ī silsile banā.e haiñ
jab ek maun diloñ meñ utar gayā 'pāras'
to ham ne rab kī ibādat meñ sar jhukā.e haiñ
KHuda ne jin ke maani nahin batae hain
wo harf zehn mein apni jagah banae hain
sitare shams-o-qamar aankh raushni rasta
hum aisi neamaten pa ke bhi laDkhaDae hain
kise KHariden kise chhoD den ye mushkil hai
hamare KHwab har ek shai mein jhilmilae hain
kabhi-kabhaar agar main zaban pe aaya hai
hum apni zat se kis darja KHauf khae hain
jo apne aap pe qabu kabhi na rakh pae
ab un ke hath mein sab iKHtiyar aae hain
har ek jins se rakhta hai rabta apna
bashar ne apne kai silsile banae hain
jab ek maun dilon mein utar gaya 'paras'
to hum ne rab ki ibaadat mein sar jhukae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.