KHuda ne usko koi gham nahin dikhaya tha
ḳhudā ne us ko koī ġham nahīñ dikhāyā thā
ajiib shaḳhs thā jaane kahāñ se aaya thā
ye kyā sitam hai ki yaad aa rahā hai tū phir se
abhī abhī to tujhe merī jaañ bhulāyā thā
mire ḳhudā vo kisī aur kī panāh meñ hai
vo jis ko tū ne mire vāste banāyā thā
luTā diyā hai jo kuchh milkiyat meñ thā apnī
tire liye hī kamāyā thā jo kamāyā thā
utar gayā hai kisī aur ke vajūd meñ vo
jo ek shaḳhs mirī zaat meñ samāyā thā
'azīz' qatl bhī kis ne kiyā hai dekh zarā
vo jaañ pe khel ke apnī jise banāyā thā
KHuda ne us ko koi gham nahin dikhaya tha
ajib shaKHs tha jaane kahan se aaya tha
ye kya sitam hai ki yaad aa raha hai tu phir se
abhi abhi to tujhe meri jaan bhulaya tha
mere KHuda wo kisi aur ki panah mein hai
wo jis ko tu ne mere waste banaya tha
luTa diya hai jo kuchh milkiyat mein tha apni
tere liye hi kamaya tha jo kamaya tha
utar gaya hai kisi aur ke wajud mein wo
jo ek shaKHs meri zat mein samaya tha
'aziz' qatl bhi kis ne kiya hai dekh zara
wo jaan pe khel ke apni jise banaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.