KHuda panah ki nok-e-zaban se upar tak
ḳhudā panāh ki nok-e-zabāñ se uupar tak
bharā huā hai ye shā.ir fuġhāñ se uupar tak
mazīd hañsne kā mat kah ki ham pe vājib hai
na aa.eñ us ke lagā.e nishāñ se uupar tak
kam-iḳhtilāt haiñ lekin haiñ silsile dil ke
zamīñ se nīche talak āsmāñ se uupar tak
dil-o-dimāġh na chāheñ to mujh qadam kī majāl
mile hue haiñ sabhī nā-tavāñ se uupar tak
hunar hamī meñ nahīñ varna yaar pahuñche haiñ
koī qalam koī zor-e-zabāñ se uupar tak
kueñ se niklā huuñ lekin hasīñ nahīñ huuñ maiñ
so ḳhud hī jaanā paḌegā yahāñ se uupar tak
KHuda panah ki nok-e-zaban se upar tak
bhara hua hai ye shair fughan se upar tak
mazid hansne ka mat kah ki hum pe wajib hai
na aaen us ke lagae nishan se upar tak
kam-iKHtilat hain lekin hain silsile dil ke
zamin se niche talak aasman se upar tak
dil-o-dimagh na chahen to mujh qadam ki majal
mile hue hain sabhi na-tawan se upar tak
hunar hami mein nahin warna yar pahunche hain
koi qalam koi zor-e-zaban se upar tak
kuen se nikla hun lekin hasin nahin hun main
so KHud hi jaana paDega yahan se upar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.