KHuda se aashnai chahta hun
ḳhudā se āshnā.ī chāhtā huuñ
magar kuchh rahnumā.ī chāhtā huuñ
koī andāz ho lekin achhūtā
vo nāz-e-dil-rubā.ī chāhtā huuñ
bahut nādim huuñ apnī hasratoñ par
are tauba ḳhudā.ī chāhtā huuñ
ijāzat ho to dil kā haal kah luuñ
ki maiñ bhī lab-kushā.ī chāhtā huuñ
matā-e-dard-e-dil ko kam milī hai
tavajjoh intihā.ī chāhtā huuñ
samajh to luuñ hayāt-e-ishq kyā hai
zarā sī kaj-adā.ī chāhtā huuñ
chaman-ārā.iyāñ un ko mubārak
faroġh-e-ḳhud-numā.ī chāhtā huuñ
tirī mahfil tak aayā to huuñ lekin
tire dil tak rasā.ī chāhtā huuñ
nasheman meñ bhī dil uktā rahā thā
qafas se bhī rihā.ī chāhtā huuñ
ta.allī hai jo sharh-e-zabt-e-ġham meñ
sazā-e-ḳhud-satā.ī chāhtā huuñ
sunā hai husn abhī hai nā-mukammal
ġhazal kī rahnumā.ī chāhtā huuñ
ba-juz us ke koī hasrat nahīñ hai
maiñ us dar kī gadā.ī chāhtā huuñ
chalūñ us dar pe 'nudrat' chal ke dekhūñ
jo qismat-āzmā.ī chāhtā huuñ
KHuda se aashnai chahta hun
magar kuchh rahnumai chahta hun
koi andaz ho lekin achhuta
wo naz-e-dil-rubai chahta hun
bahut nadim hun apni hasraton par
are tauba KHudai chahta hun
ijazat ho to dil ka haal kah lun
ki main bhi lab-kushai chahta hun
mata-e-dard-e-dil ko kam mili hai
tawajjoh intihai chahta hun
samajh to lun hayat-e-ishq kya hai
zara si kaj-adai chahta hun
chaman-araiyan un ko mubarak
farogh-e-KHud-numai chahta hun
teri mahfil tak aaya to hun lekin
tere dil tak rasai chahta hun
nasheman mein bhi dil ukta raha tha
qafas se bhi rihai chahta hun
talli hai jo sharh-e-zabt-e-gham mein
saza-e-KHud-satai chahta hun
suna hai husn abhi hai na-mukammal
ghazal ki rahnumai chahta hun
ba-juz us ke koi hasrat nahin hai
main us dar ki gadai chahta hun
chalun us dar pe 'nudrat' chal ke dekhun
jo qismat-azmai chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.